Tuesday, July 20, 2010

Yaadon ka kal

Har ek lamha har ek pal satrangi yaadon ka kal
sapno ki duniya ke har rang se bhara mann chanchal
Chhoti chhoti si baatein aur hassi se goonjata pal
meethi meethi se yaadein aur pyari si woh halchal
Wahin yaadein wahin baatein aaj bhi saamne aati hain
Kabhi kabhi mere dil ko kuch dard bhi de ke jaati hain
Woh kya jaane sapno ka mol jisse neend kabhi aati hi nahin
woh kya jaane yaadon ka moh jisse dard kabhi milta hi nahin

Sunday, July 18, 2010

Alvida

Hum to hain kuch bhi nahi hamein hai ye khabar
Maan baithe the kabhi khud ko hi tera sahar
Khush hain hum ki tumne aaj keh hi daala ye magar
gamgeen bada hota hai dard ka purana koi safar
Aaj to haath chhuda lo aur hamein bas jaane do
ek mod hai suhana naya usse paas to aane do
Aisa to hua karta hai har kahani mein mere dost
Na ho tu pareshaa ye to zindgaani hai mere dost

Monday, July 5, 2010

Yaadein

Ek ajeeb si baat thi
alag si kuch khaas si
kehte nahi jab hum kuch bhi
padh leta woh har baat meri
baatein na khatm hoti kabhi
mulakatein thi aadhi raat ki
keh dete the alvida har baar
milne ko phir bhi rehte bekarar
kho gayi kahan woh baatein..
milkar bhi na hain woh mulakatein
reh gayi hain paas mere ab
meethe se pal ki bas kuch yaadein...

Tuesday, June 29, 2010

Bikharte Sapne

Saath saath jo dekhe the sapne
aur jo thode vaade the apne...
aankh jo kholi aag lagi thi
vaadon ki bas raakh bachi thi
dhu dhu kar jal chuke the saare
jo the kabhi jeene ke sahare!!

Friday, March 26, 2010

Door Door aur Paas Paas!!!

"Duriyan jo simatati hi nahin
intezaar jo nibatati hi nahin.
kis kadar hum beeta payenge,
ye lamhe jo gujarte hi nahin.
Aankhon ko bas aas hai,
tumhara hi ek ehsas hai.
Saari umar gujaar doon aise,
tere pyaar mein kuch khaas hai."

Sunday, March 7, 2010

Kahani!!

Ghum ho gaye aankhon se khwab, haqeeqat phir se saamne aa gayi
Yeh jo pehlu hai ek zindagi ka, woh phir se yun hi chhaa gayi
Sapno mein jo hui thi mulakatein, woh bas ek kahani ban gayi
Mil kar jo karni thi baatein, woh dastaan-e-begani ban gayi
Silsila jo kabhi chala tha, woh baatein aaj purani ban gayi
Jo hamne kabhi na socha tha, woh kahani bas ek nishani ban gayi!!

Friday, February 5, 2010

Jaane jahan

Kya haseen pal hai woh,
tum mere jab saath ho to :)
Ek baar jo tum dekh bhi lo,
Chhoo jati hai woh nazar dil ko.
Tamanna hai shuru tum se,
dil ki har aarzoo bhi tum se.
Khyalon mein hamesha tum,
guftagoo mein bhi tum hi tum.
Karoon main aur kya bayan
tum to ho mere jaane jahan.

Thursday, February 4, 2010

Duriyaan

Woh giri barish ki ek boond upar se
aur idhar bhi tapak padi aankhon se hokar gaalon par
Ehsas hua achanak tabhi ye to picchle saal ke aanshu the
jo tab nikal hi na paye the....
Wahin kahin palko mein chhup kar baithe rahe
aur aaj na jaane kyun bas nikal pade the..
Mann ki asmanjas mein un lamhon se phir ek baar naata bana baithe
Ae khuda hum bewajah phir ek baar khud ko hi bhula baithe

Friday, January 8, 2010

Daud

kya chahiye bhala iss zindagi ko ye kis cheez ki hai lagi daud
kaun banata hai sakhshiyat ko ye chahta hai bhala kaun sa mod
jo mil gaya woh hamesha kam hai jo na mila uska hardam gam hai
idhar udhar ki chahal pehel mein mann khud ko hi bhool chala hai
kabhi to aisa hua karta tha ki hum bas apne mann k hue the
ab to ye aalam hai ki mann bhi har baat pe tark karta hai
kya sahi hai kya galat hai sabhi baaton pe vimarsh hota hai
ek dost jo hua karta tha woh bhi ab sharton pe baatein karta hai