Monday, December 28, 2009

Waqt

Waqt badalta hai hum bhi badal jaate hain
Sab kuch alag sa hota hai phir duniya badal jaati hai
Jo raah humne chhod di thi aaj woh saamne kyun hai
jo chaah hamne tod di thi woh phir se jagi si kyun hai
aaj ek rishte ko bachane k liye duje ka khoon ho gaya
abhi abhi pata laga katla bhi ab aam ho gaya........

Tuesday, December 22, 2009

Ehsas

Ehsas hai ye ehsaan nahi
mehsoos karo maloom nahi
jo khud ko hi na samajh saka
kaise samjhaye woh mujhe bhala
Jakhm to phir bhi bhar jate hain
Par apni nishan chhod jaate hain
jakhm kaun mitana chahta hai
woh bhi milta hai kismat se
ye samjhe kaise koi bhala
jise dard kabhi meetha na laga
Dil ko thoda sa samjha do
khud ko na itna pareshaan karo

Thursday, December 17, 2009

Humdum...

Mausam kuch hua iss tarah ki nagme khud bakhud ban gaye
ek kahani shuru hui idhar aur kitne fasane ban gaye
In aankhon ne dekha unhe iss tarah to kuch aisa laga dil ko
jaane kis tamanna mein yun hi ye tarane ban gaye..........

Wednesday, December 16, 2009

Jazbaat (Emotions)

Jazbaaton ko beh jaane do lafzon mein na sahi aankhon se hi
Ye dil ke parde uth jaane do nasur ban jaye andar na kahin
Kehte hain ki ishq na chhode daaman tum laakh karo koshish
Kabhi dil ki awaaz suno apni aur dard bhula do duniya ki

Monday, December 14, 2009

Kuch Nagmein

Aasmaa dekho kuch keh raha hai jameen ki aur muskura kar,
Os ek tapak padi aur khil uthi woh kali
Khil uthi woh kali jo sadiyon se thi band padi,
Tak rahi thi raah maano os ki kab se khadi...

Roshni ki talash thi us ghanghor andhere ko,
haath ko na haath dikhe aisi thi woh raat..
Jaane kahan se ek jugnu chala aaya le chingari apne saath,
mano chandrama ne bhej di ho apni ek saugaat....